Phir apney marney ki hum dua karien
Yeh dooriyaan yeh fasley
Dua karo keh barh ja’ain
Na shikwa karo hum sey na hum koii gila karien
Khuda karey keh andhairii raat mein
Tum niklo kisi manzil ki talash mein
Hum apne dil ko jala’ien
Aur dikha’ain tum ko raasta
Tum phir sey thukrao humien
Kaho , nahi koii teri chah humien
Phir apni zaat mein hym kuch aur simat jaien
Keh zindgii aur mout mein fasiley bhi mit jaien
Phir apney marney ki hum dua karien
Is sey aiyada karien bhi to hum kya karien
Phir kaii saal baad
Tum jo hum sey milla karo
Dekh kar meri halat tum bhi karb sey rou paro
Phir hum Poochien keh kya hua
Phir tum kaho keh kuch nahii
Phir karo kuch shikayatien
Phir sey koii gilla karo
Phir karo milney kii koshishien
Phir hum na tum ko milla karien
Yeh dooriyaan yeh fasley
Dua karo keh barh jaien
Na shikwa karo hum sey
Na hum koii gilla karien
Hijr main khoon rulatay ho, kahan hotay ho?
Hijr main khoon rulatay ho, kahan hotay ho?
Lot ker kyun nahin aatay ho, kahan hotay ho?
Jub bhi milta hia koi shaks baharon jesa
Mujh ko tum kesay bhulatay ho, kahan hotay ho?
Yaad aati hain akailay main tumhari neendain
Kis tarha khud ko sulatay ho, kahan hotay ho?
Mujh say bichray ho to mehboob-e-nazar ho kis kay
Aaj kul kis ko manatay ho, kahan hotay ho?
Shub ki tanhai main aksar yeh khayal aata hai
Apnay dukh kis ko sunatay ho, kahan hotay ho?
Mausam-e-gul main nasha hijr ka barh jata hai
Meray sub hosh churatay ho, kahan hotay ho?
Serd raaton main kesay tumhain bhula sakta hoon?
Aag si dil main lagaty ho, kahan hotay ho?
Tum to khushiyon ki rafaqat kay liye bichray thay
Ab agar ashk bahatay ho, kahan hotay ho?
Sheher kay log bhi ‘Wasiq’ yehi kertay hain sawal
Ab bohot kum nazar aatay ho, kahan hotay ho?
Meray mah-o-saal kay beach main koi aisaa lamha gaya nahin
Meray mah-o-saal kay beach main koi aisaa lamha gaya nahin
Tera naam main nay liya nahi tujhay yaad main nay kiya nahin
Tera kon sa woh madaar tha jahan gardishain meri ruk gaeen
Tera kon sa woh kahyal tha jisay main nay daman diya nahin
Mera safar adhoora hi reh gaya mujhay manzilon ka pata nahin
Main humsafar usay maana tha kabhi saath jis nay diya nahin
Yahan har qadam pe hain haadsay ye khayal hi dil ko thaka gaya
Yeh safar keh siraat-e-taaveel hai abhi aik qadam taak utha nahin
Yeh meri ana ki hai sarkashi jo wasf aisay sikha gai
Main darya hoon jo gira nahi wo pahar hoor jo hila nahin
Koi aik aansoo aisa day dar-o-baam apnay saja loon main
Tujhay kya khabar meri raah main koi tara, jugnoo, diya nahin
Koi be-qarari si aaj bhi meray dil main khaar hai khenchti
Koi dard tha jo daba nahi koi aansoo tha jo baha nahin
Usay baad barson ke dekh ke yunhi aik lamhay ko kya huwa
Koi saans thi jo chali nahin koi zabt hai jo huwa nahin


